Kahan Aa Kay Ruknay Thay Raastay, Kahan Maur Tha, Ussay Bhool Jaa
Jo Mil Gya Ussay Yaad Rakh, Jo Nahin Mila Ussay Bhool Jaa
Woh Teray Naseeb Ki Baarishain Kisi Aur Chhat Pe Baras Gayien
Dil-e-Be khabbar Meri Baat Sun, Ussay Bhool Jaa, Ussay Bhool Jaa
Main To Gum Thaa Teray Hi Dehyan Mein, Teri Aass Teray Gumaan Main
Saba Keh Gayi Mere Kaan Main, Meray Paas Aa Ussay Bhool Jaa
Kisi Ki Aankh Mein Nahin Ashq-e-Gham, Teray Baad Kuch Bhi Nahin Hai Kam
Tujhay Zindagi Nay Bhulaa Diya, Tu Bhi Muskuraa Ussay Bhool Jaa
Naa Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi, Naa Woh Khuaab Hi Tera Khuaab Thaa
Dil-e-Muntazir To Yeh Kis Liye Tera Jaagnaa, Ussay Bhool Jaa
Yeh Jo Raat Din Ka Hai Khel Saa, Ussay Dekh Iss Pe Yakeen Naa Kar
Nahin Aks Koi Bhi Mustaqil Sar-e-Aaena, Ussay Bhool Jaa
Jo Bisaat-e-Jaan Hi Ulatt Gaya, Woh Jo Raastay say Palatt Gaya
Ussay Roknay Say Husool Kya, Ussay Matt Bulaa Ussay Bhool Jaa
(Amjad Islam amjad)