Kahaan aa kar ruknay thay raastay, kahaan mor thaa, ussay bhool ja
Woh jo mil gaya ussay yaad rakh, jo nahee mila, ussay bhool ja
Woh tere naseeb ki baarishain, kisi aur ke chat per baras gaeen
Dil-e-bekhabar meri baat sun, ussay bhool ja, ussay bhool ja
Mein tu gumm thaa tere dheyaan mein, teri aas mein, tere gumaan mein
Saba keh gaee mere kaan mein, mere paas aa, ussay bhool ja
Na woh aankh hi teri aankh thee, na woh khwaab hi tera khwaab thaa
Dil-e-muntazir tau yeh kis leye, tera jaagna, ussay bhool ja
Yeh ji din raat ka hai khail sa, ussay dekh, us per yakeen na kar
Nahee aks koi bhi mustakil, sar-e-aaenaa, ussay bhool ja …