~Uss say Milnaa~

Uski aankhain rasta rokein…

Daman kheinchein… mujhse poochein..

Tum kyun milnay aayi hu

**Darya darya, sehra sehra **

Mujhko khojti aayi hu…

Uski aankhein…

Roo roo bersain.. mujh bin tersain..

Mujhko khojein

Jazbay uskay mujh per bersain

Waqt ka darya tham sa jayee

Wu paas aaye

Mujhay batayee

Meri janaa.. Meri guryya

Mera sub kuch tum lay jaoo

Mera daman khali bhee tu bharra huwa hay

Teray jazbay meray ander rachay huway hein

Tum abb jaoo… wapis jaooo

Baat tu sari rooh kay ander bassi hui uss dherkan ki hay

Ju pas aaye, aur batalayee

**Janaa Meri, **

Idher kahein he bassii hui hay…

Main jub chahoon usko daikhoon…

Sochein meri usko choo ker…

Dil ko meray yeh batla dain…

Wu meri hay… meri andar he utri hay…

Uski baatein main sunti hoon…

Hans daiti hoon…

**Uski sans say bojhal dherkan … **

Uski wu makhmoor nigahein …

Rasta rokein.. mujhay bulayein…

Uski baatein… uskay aansoo

May jhooli main bher bher rakhoon

May apnay ander yoon bherloon

Jaisay seep main sacha moti !!!

uski aankhoon kay jadoo ko

** uski baatoon ki khusboo ko**

** Uski chahat kay rangoon ko

Dil main bassa loon
**
Phir murr jaoon… aur loat aaonn…

Fara

Re: ~Uss say Milnaa~

:k:

Re: ~Uss say Milnaa~

nice sharing :)

Re: ~Uss say Milnaa~

Fara Saheba...khushbash,
Kiya Rawaani Hai...Kiya Zabaan Hai Kiya Bayaan Hai... SubhanAllah,
Ek Saaf Chamakta Jharna rawan Hai.
Mohtarema Aap Hain Kahan ? Wellcome Back !!!

Re: ~Uss say Milnaa~

Wooooww…
What an innocent way… and innocent words used…soooo fluently…
Amazing…
Thanx Alotttttt for sharing… :k:

Re: ~Uss say Milnaa~

Thanks a lot Prince, Nikami Jano, Darwesh Ji and Zamil. Its just my thoughts written out bluntly. Shukran for appreciating and taking the time to read me.

Darwesh Ji idher he hoon.. Mainay kahan jana hay!!

Fara

Re: ~Uss say Milnaa~

Fara Saheba.........Aadab,

Main bhi kam kam aataa hun, magar, aap bohat dinon ke baad nazar aayeen . Ya Hosakta hai..............

" Hum Bekhudi main unko Pukara Kiye Magar
** Woh Samne bhi Aaye To Hum Be Khabar Rahe ",**

2005 ke oct. main Baitbazi ki taba Azmayee main, mere ek Sher par aapne bhi girha lagayee thi, woh sher main bhool gaya, sirf radeef yaad hai...
"NAHI DHOONDYE " aur Qafiya tha... SHARAFATEN.....HIKAYATEN...Etc.,
agar woh sher, apke zahan main ho to enayat karen, aajkal tabiyat mouzoun hai, shaid Ghazal hojaye. **
**Nawazish

darwesh.

Re: ~Uss say Milnaa~

Darwesh Sahib

Adab

Kuch Kuch Yaad tu hay wu waqt...
Koshish kerungi idher he dhoond ker nikal loon aur aapki khidmat main hazir ker doon...

Till then take care, Fi aman Allah

Fara

Re: ~Uss say Milnaa~

Here is the link for that page Darwesh Ji…

http://www.paklinks.com/gs/showthread.php?t=185848&page=9

Re: ~Uss say Milnaa~

Fara Saheba...khushbash,
Nawazish...karam.... Aaj kam az kam char sher kahne ki koshish karoonga,
Iss Zameen Par Aapne bhi Chand Ashaar Kahe they...Ghazal Mukammal kar daliye... Mujhe Yaqeen Hai Achhi Hogi.
Darwesh