**Us ne kaha ke ishq ka nasha utar gaya
Main ne kaha ke husaan bhi hum se mukar gaya **
**Us ne kaha keh tuj ko dilani hain chooriyaan
Main ne kaha ke aab wo zamana guzar gaya **
**Us ne kaha ke kya hoti kaajal ki dhaar si
Main ne kaha ke ankh se darya guzar gaya **
**Us ne kaha kehyeh teri chooriyoon se dosti
Main ne kaha ke dil mera duniya se bhar gaya **
**Us ne kaha ke kya mila sab se bigar ke
Main ne kaha ke waqat acha guzar gaya **
**Us ne kaha ke khuwab main aane ka waqat doo
Main ne kaha ke neend ka mausam guzar gaya **
**Us ne kaha keh wo tere sooraj ka kya bana
Main ne kaha ke wo mere dil main utar gaya **
Akhir ko tang aa ke, kahi us ne itni baat
Wo tum kahan gaye wo zamana kidher gaya