Uss nay tujh ko khoyaa hai, Rub nay ussay taa hayaat hai aazmaayaa

DostiyaaN day kar aazmaayaa, dostiyaaN lay kar aazmaayaa
ALLAH mujh ko tu nay ujaala-O-andhera day kar aazmaayaa

RagouN maiN dauRtay khooN ko dil maiN jagah maiN nay dee thee
Meri aankhouN say tu nay ussay misl-e-ashk bahaa kar aazmaayaa

Naseeb kee khushiiyouN ko apnay duaa maiN nay bahut dee thee
Mairay raqeeb say tu nay naseeb mera badalwa kar aazmaayaa

pattouN kee sarsaraahuTT thee yeh kaisee jo dil maiN uTh-tee thee
takiyaa jin par thaa, unn say hee hawa dilwaa kar aazmaayaa

Teri mohabbat kaisee kacchi aur kaisee bud qismat thee
Dil maiN teray toofaaN-e-nafrat uTThwaa kar aazmaayaa

Teri anaa teray dil say sargoshiyaaN youN kuch kartee thee
Tu nay dil ko khoyaa hai tau kiyaa bud-dua lay kar aazmaayaa

Zindagi maiN aur bhee loug mil jaaieN gey ussay Anwaar
Uss nay tujh ko khoyaa hai, Rub nay ussay taa hayaat hai aazmaayaa

Anwaar

hummm

Teri mohabbat kaisee kacchi aur kaisee bud qismat thee
Dil maiN teray toofaaN-e-nafrat uTThwaa kar aazmaayaa

:dhimpak:

bohat acha likha anwaar bhai…:k:

Re: Uss nay tujh ko khoyaa hai, Rub nay ussay taa hayaat hai aazmaayaa

zabardast :flower1:

Bohat khOOb... :)

thanks everyone:flower1:

sawera:D u picked my own favorite one :slight_smile:

buhet achi hai :flower1:

teri mohabat kaisee kacchi aur kaisee bud qismat thee
dil maiN teray toofaaN-e-nafrat uTThwaa kar aazmaayaa

V nice AQ thanks for sharin..:(

very nice :k:

Wonderful.. :flower1: