"**Woh jiss ki ankhoN main sitaray saaray chamaktay hoN
woh jiss kay gaaloN par gul gulshan mehektay hoN
woh jiss kay honthoN say meethay phool barastay hoN
jiss ki baatoN ki khushboo, raag sunaati ho
jiss ki sochoN main narmi, sakoon laati ho
woh jiss kay hathoN say mehnat sharma jaati ho
woh jo chalti ho to zameen gudgudaati hai
uss ko choo lay hawa to baad-e-saba kehlati hai
woh muskurati ho to dil say hi muskuraati hai
uss kay honthon par mera saans thehar jata hai
likh kar naam mera, saans wahiN marr jata hai
harr lafz wahan, bass goonga ho kar jata hai
haaN wuhi!
jiss kay seenay main samandar bhi doob jaayeN
jiss ki fikar main daulti hoN kehkashaayeN
paas uss kay raaz-e-dunia bhi daurr kar aayeN
WOH KIOON RAAT RAAT BHAR ROTI HAI ABBB ? ? **"
bass yaar, kuch aisa hi hai
[This message has been edited by dil e nadaan (edited June 01, 2002).]
agar poochnay say maloom hota to main khud na pooch leta bhala!
ab agar mujhay itna maloom hai kay woh raton ko roti hai to khud hi soch lo kay kaha rehti hogi woh!
~~~~*
“If you belong to Allah, rest assured that Allah will indeed belong to you”
“Dream as if u live forever live as if u will die today”
“The best way to cheer yourself up is to try to cheer somebody else up.” ~~~~*