Daanie
1
Uss ke labon pe aaj mera naam aa gaya
Lo, beqaraar dil ko bhi araam aa gaya
Iss kashmakash ke haal mein guzri hai zindagi
Fikr-e-saher gayi tho ghum-e-shaam aa gaya
Peghaam uss ka aaya, ye hairat ka hai maqaam
Kya uss ko yaad aaj mera naam aa gaya?
Bach kar tamaam umr rahe jis gunaah se
Hum par ussi gunaah ka ilzaam aa gaya
http://img246.imageshack.us/img246/3161/yelflhrtcx1.gif
2 Likes
Re: Uss Ke Labon Pe…
beautiful sharing Daanie..

Re: Uss Ke Labon Pe…
Iss kashmakash ke haal mein guzri hai zindagi
Fikr-e-saher gayi tho ghum-e-shaam aa gaya
very nice :k:
immu
5
Re: Uss Ke Labon Pe…
Baqi Samj nahi aya ya … Hazam nahi hua by the way???
Aryaan
6
Re: Uss Ke Labon Pe...
Bohat khoob** Dannie**...
Daanie
8
Re: Uss Ke Labon Pe...
Bohat khoob** Dannie**...
thanks much :)