Aaj apni Mohabat ko naya morr diya usne..
Chatt se Dhakka de k hath torr diya usne..
Pehle hansta tha main ab bs muskurata hon..
Maar k Mukka aagy ka daant tor diya usne..
Usne ishara kiya k Kuch kehna he tumse..
Kaan paas kiya to marorr diya usne..
Sardiyan aaein to laya maalty us bewafa k liye..
Maalta kha k chilka ankhon main nichorr diya usne..
Bewafai ki had hi kar di zalim ne Ghalib..
Milne ghar gaye to peche kutta chorr diya usne..!
KKF
3
Re: Usne…
lolz…bas kuttaa hii chhoRaa? maiN hotaa to uske oopar pahle chheechhRe choRtaa uske ba’d apne ek nahiiN do kutte chhoRtaa…
Re: Usne...
Bewafai ki had hi kar di zalim ne Ghalib..
Milne ghar gaye to peche kutta chorr diya usne..!
bay charay Ghalib ka naam aisay sh'eron mein dal ker uss key rooh ko mat tarpao bhai
Re: Usne...
Bewafai ki had hi kar di zalim ne Ghalib..
Milne ghar gaye to peche kutta chorr diya usne..!
bay charay Ghalib ka naam aisay sh'eron mein dal ker uss key rooh ko mat tarpao bhai
yehi main kehne wala tha ke Ghalib ne ye kab likha
Re: Usne...
yehi main kehne wala tha ke Ghalib ne ye kab likha
Woh tou Ghalib Key Qismat Achi Thi Faraz Aa gia warnah Jo Sher Faraz say mansoob kiye jatay rahay pahlay sirf Ghalib He Say Kiye Jatay Thay :p