**Aansooun ki tarha nazron se giraya usne
Apni khabar naa mili kuch aise khaak me milaya usne
Ilzaam mujhpe lagaya magar bewafa khud tha
Pehle Deewana banaya phir mujhe thukraya usne
Usko maza aata hai mujhko satane me
Mujhe geeli lakri ki tarha jalaya usne
Aaya na tha usko wada wafa kerna
Logon ko jhuta apni wafa ka qissa sunaya usne
Tanhaiyoon ke dard se khoob waqif tha wo
Phir bhi duniya me mujhe Tanha banaya usne**