uskee yaadon main vo dooba raha raat bhar
subah tak vo na so saka jaagata raha raat bhar
khuli khirkee ke pass vo jaa baitha raat bhar
aasmaan main taaron ko vo ginta raha raat bhar
waqt-e-firaq main vo pachtaaya raat bhar
apni kismet pe vo rota raha raat bhar
kyon vo na tyaar huee us say shaadi karno ko
is swaal ka jawaab vo poochta raha raat bhar
apnay ko shaeeri ka vo bada ustaad samajhta thaa
usnay kyon dhak-kara ye sochta raha raat bhar
pauphatti to usnay khirki se jhaank kar dekha
thandi si hawaa chali jo chali na thee raat bhar
thandi hawa thee lakin dil main thee kashmakashi
sakoon kuch na mila usay sochtay hueey raat bhar
insan zindgi bhar hi sochon main dooba rehta hai
mohabbat-e-firaaq main jaisay vo dhooba raha raat bhar
maut k aanay par hi ashikon ko mohabbat bhoolti hai
mohabbat main hi vo rehtain hain din aur raat bhar
](http://www.pakmehfil.com/viewtopic.php?p=69605#69605)