uska apna hi karishma hai fusoon hai, yun hai
Yun to kehne ko sabhi kehte hain yun hai yun hai
Tum muhabbat mein kahan sood O zyaan le aaye
Ishq ka naam khirad hai na junoon hai, yun hai
Jaise koi ho dar E dil pe sitaadaa kab se
Aik saayaa na daroon hai na baroon hai, yun hai
Ab tum aaye ho meri jaan! tamasha karne
Ab to darya mein talatum na sukun hai, yun hai
Tu ne dekhi hi nahi dasht E wafaa ki tasveer
Nok E har khaar pe ek qatra E khoon hai, yun hai
Naaseha! tujh ko khabar kya ke muhabbat kya hai
Roz aa jaata hai samjhaata hai, yun hai, yun hai
Shaairi taza zamaanon ki hai me’maar Faraz
Yeh bhi ik silisila E “Kun Fa YakuN” hai, yun hai
pktun
2
Re: uska apna hi karishma hai fusoon hai, yun hai
nyc 1 :k:
Re: uska apna hi karishma hai fusoon hai, yun hai
Baab_E_Tehreer Makafaat_E_Janoo'n Tha ,You'n Tha.
Marg_E_Jaa'n Darja_E_Eeqaan_E_Sakoo'n Tha , You'n Tha.
Raat Taadeir Lab_E_Baam Rahey Ashq Rawaa'n.
Qissa_E_Girya_E_Mahtaab_E_Zaboo'n , Tha You'n Tha.
Pa'on Bhi Kaat diye Halqa_E_Zanjeer Key Saath.
Waaey Ulfat Mein Mra Shouq fazoo'n Tha , You'n Tha.
Phir Nazar Aaya Shab_E_Taar Jo Mahmil Ka Wajood.
Khawab Tha Woh Keh Mra Jazb_E_Baroo'n Tha , You'n Tha.
Aaj Hain Aahl_E_Hunar Apney Zawahir Key Raqeeb.
Meri Tajdeed Key Rstey Mein Daroo'n Tha , You'n Tha.
Ishq Ney Qasr_E_Ali Naam Likha Tha Ghar Par.
Jis Key Atraaf Mahabbat Ka fasoo'n Tha , You'n Tha.
Re: uska apna hi karishma hai fusoon hai, yun hai
wow..
Re: uska apna hi karishma hai fusoon hai, yun hai
uska apna hi karishma hai fusoon hai, yun hai
Yun to kehne ko sabhi kehte hain yun hai yun hai
Tum muhabbat mein kahan sood O zyaan le aaye
Ishq ka naam khirad hai na junoon hai, yun hai
Jaise koi ho dar E dil pe sitaadaa kab se
Aik saayaa na daroon hai na baroon hai, yun hai
Ab tum aaye ho meri jaan! tamasha karne
Ab to darya mein talatum na sukun hai, yun hai
Tu ne dekhi hi nahi dasht E wafaa ki tasveer
Nok E har khaar pe ek qatra E khoon hai, yun hai
Naaseha! tujh ko khabar kya ke muhabbat kya hai
Roz aa jaata hai samjhaata hai, yun hai, yun hai
Shaairi taza zamaanon ki hai me’maar Faraz
Yeh bhi ik silisila E “Kun Fa YakuN” hai, yun hai
behtareen ghazal hai aur sab se achay sher ko to ap ne khud hi bold kar dia :)
Re: uska apna hi karishma hai fusoon hai, yun hai
wah 
kia baat hai ap ki KR 