Re: usi ne waaR kaR dala Jisey gham-khwaaR dekha tha
niGaah e ShOq se hUm ne tUmhien eik baaR dekha tha
kOii Jazba tha pehli baaR Jisey be-daaR dekha tha
baRa sasta zamana hAi yhahaN ab lOg biktey hAin teRa soda bhi hUm ne kal saR-e-baZaaR dekha tha
wO jis k hOnt paR haR dUm sajii mUskaaN rehti thi na Jaaney kyON usey maiN ne baRa beZaaR dekha tha
roz o shab badalney maiN bhala kya dair lAgti hAi jO takht o taaj rakhtey they unhieN la-Chaar dekha tha
hUm apney dOst duShman ki khabaR jO rakh nahi paa'ye usi ne waaR kaR dala Jisey gham-khwaaR dekha tha
tUm apni be-wafaii paR aGar naadim nahi hO tO
aankhOn ko tUmhaaRi PhiR kyOn zaiy-re-baar dekha tha
Khobsourat Choice MOD Ji, saray shair hi pussand aaye.
PS:- It is so beautiful Poem that It is worth posting again