**bikhar rahi hai meri zaat use kehna
kabhi mile to yahi baat use kehna
woh sath tha to zamana tha humsafar mera
magar ab koi nahe mere sath use kehna
usay kehna bin uss k din nahe kat tay
sisak sisak k kat ti hai rat use kehna
usay pukaron k khud hi pohanch jaon uss k paas
nahe rahey woh halaat use kehna
agar woh phir bhi na laute to a meharban qasid
humari zeest k halaat use kehna