Usey hum bohat piyar kartey hain

**Hawa ja k usey kehna !!!

Jo us ne phool bhejey thay

Inhi phoolon se ab khushbo nahin aati

Buss uski yaad aati hai

usi ki yaad main ab hum

Na jeetay hain na martey hain

Buss usi ki aag main her dum jaltey hain

Badan se jo lipat ker ,

Rooh tak ko jalati hai.

Mager us ko khaber hai kiya

K jis ki yaad main

Tanha sulagtey hain

Yeh jo khud ko jalatey hain

usey kiya yaad aatey hain

Bata kuch to…!!!

Hamen woh yaad kartey hain

K jis ka naam ham akser

Sar-e-sahil likha kartey thay

Jis k visal ki khatir

Samnder ki hawaon k sabhi dukh jhaela kartey thay

Kabhi hum apni nazron ko

Samnder ki machalti lehron per rakh ker

Uffaq k paar akser dekha kartey thay

usey kehna…!!!

Hum us ko yaad kartey hain

Yeh aankhin us ki furqat main

Hamen ab khoun rulati hain

Satati hain…

Hum us ki yaad se Dil ko bohat aabad rakhtey hain

Hum us k lout aaney ka

Yaqeen rakhtey hain

Us ko yaad kartey hain

Usey kehna…!!!

Usey hum bohat piyar kartey hain**

nice 1 :k:

Very Nice :k:

lovely! :k:

Very Nice!

bohot khoob :k:

Lovely … :k::k::k:
Thanks for sharing …

Bahur Khoob Dania :k:

aap hon kahan aaj kal :slight_smile:

bahutttttttttttttttttttt acchay...khush rhaye

Hum us ki yaad se Dil ko bohat aabad rakhtey hain

Hum us k lout aaney ka

Yaqeen rakhtey hain

Us ko yaad kartey hain

Beautiful…:flower1: