!*Usey bhool ja Usey bhool ja*!

**[FONT=Trebuchet MS]Kahan aakey Ruknay thaay Rastey,Kahan Morr thaa usey Bhool Ja
Vo jo Mil Gaya usey Yaad rakh,Jo nahin mila ,Usey Bhool Ja

Vo Teray Naseeb ki Baarishein kisi Aur chatt pay baras gaein
Dil-e-Bekhabar meri baat Suun,Usey bhool ja ,Usey bhool ja

Mein tou Guum thaa teray he Dihan mein,Teri Aas Teray Guman mein
Saba keh gaye hai Meray Kaan mein,Meray Pass aa usey bhool ja

Kisi aankh mein nahin Ashke gham,Teray baad bhi nahin hai Kamm
Tujhay Zindagi nay Bhula Diya,Tu muskura Usey bhool ja

Na Vo Aankh he teri aankh thee,Na Vo khwab he tera khwab thaa
Dil Muntazir hai tu kis liye Tera jaagna ,Usey bhool ja

Ye Jo Raat Din ka hai Khail sa,Usey daikh kay Uus pay yakeen na ker
Nahin Aks koi bhi Mustakil Sarr-e-Aaena usey bhool ja

Vo Jo Bisat-e-Jaan he ulat gaya ,Vo jo raastey say Palat Gaya
Usey rokney say husuul kiya ,Usey matt Bhula usey Bhool ja
**

Re: !Usey bhool ja Usey bhool ja!

ooh i love dis ghazal

Re: !Usey bhool ja Usey bhool ja!

i m not sure if its a complete one :-) but i will b glad if anyone finds it plz:-)

PS. bohat khoobsoorat shayri by amjad islam amjad

Re: !Usey bhool ja Usey bhool ja!

ooh i had few shairs of dis gazal like 2 but now i have read whole thnk u for shrng :k:

Re: !Usey bhool ja Usey bhool ja!

^:-) my pleasure bella :-)

Re: !Usey bhool ja Usey bhool ja!

gud 1 :k:

Re: !Usey bhool ja Usey bhool ja!

Beautiful Sharing Rabika..:k:

Rabika you shared such a master piece of AIA :lajawab: I’ve complete poem in my diary and sharing with you …

kahan aakay ruknay thay rastay ,kaha moor tha usay bhool ja
woh jo mil gaya usay yaad rakh, jo nahi mila usay bhool ja

WOH TAIRAY NASEEB KI BARISHAIN KISE AUR CHAT PAR BARAS GAYEE’N
DIL E BAYKHABAR MAIRE BAT SUN,USAY BHOOL JA ,USAY BHOOL JA

main tu gum tha tairay hee dhayan main,taire aa’s,tairay guman main
saba kah gayee mairay kaan main,mairay saath aa,usay bhool ja

kisee ankh main nahi ashk e gham ,tairay baad kuch bhi nahi hai ghum
tujhay zindagi nay bhoola dia,tu bhi muskura usay bhool ja

kahen chak e jaan ka rafu nahi kise asstee’n par laho nahi
kay shaheed e rah e malal ka nahi khoon baha,usay bhool ja

q aata howa hai ghubar main,gham e zindagi kay fishar main
woh jo darj tha tairay bakht main,so woh hogaya,usay bhool ja

na woh aankh he taire annkh the ,na woh khwab he taira khawab tha
dil e muntazir tu yeh kis liye ,taira jaagna, usay bhhool ja

yeh jo raat din ka hai khail sa,usay daikh, us par yakeen na kar
nahi aks koi bhi mustaqil,sare aina,usay bhool ja

jo basat e jjan he ulat gaya,woh jo raastay say palat gaya
usay rooknay say hasool kia,usay maat bola,usay bhool ja

tu phir yeh kis liyee shab e hijar kay usay har sitaray main daikhna
woh falak kay jis pay milay thay hum,kio aur tha ,usay bhool ja

tujhay chand ban kay mila tha jo,tairay sahiloon pay khila tha jo
woh tha darya aik wisal ka,so otar gaya,usay bhool ja

o thnk u sanan for shring the remaining parttt

Re: !Usey bhool ja Usey bhool ja!

u alwaz welcome bella .....

Buhat Khub:) Nice Choice

Re: !Usey bhool ja Usey bhool ja!

thanks Aryaan :-)

*Sannan: THANKU :-)))))) *