Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

Hua Jo Kuch’ Bhulana Chahiye Tha,
Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha,

Ye Saara Bojh Mere Sir Pe Kiyon Hai,
Usay Bhi Gham Uthana Chahiye Tha,

Kis Qadar Guroor Tha Mujhe Us Per,
Pyar Se Beth Kar Manaana Chahiye Tha,

Mujhe Paa Kar Usey Kya Chain Milta,
Jisey Saara Zamaana Chahiye Tha..

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

Very nice :k:

Mujhe Paa Kar Usey Kya Chain Milta,
Jisey Saara Zamaana Chahiye Tha..

Aise logon ke hath bus tanhai aati hai..

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

agreed :k:

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

jab to aaegi hamara waqt to barbad ho raha hena:(

ANGEL:lajawab: ilikeit

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

Usey ab laut ana chahiye tha

May be flight late ho gai hogi

Give him a call

or

Just wait & watch:cool:

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

shukriya :hat:

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..


yeh kalaam aurat ke perspective se likhaa gayaa hai :D vaise to "Ladies First" huaa kartii haiN magar Gham uThaane meN "Men First" kiuN ho jaate haiN? *zaalim samaaj! *:D

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

ab her kaam mei ladies first tu nhi hota na :snooty:

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

Very hee nice.

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

shukriya ehsan uncle :k:

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

Men ghamon k sahare ji lete hain

Ladies gham wale k sahare nahi jitin

They find another one:cool:

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

Bohat Umdah.......

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

Shukriya :hat:

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

:smokin:Dhake mar kar to nahi nikala ghar se

Moonh chupaye baitha ho kahin pe

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

Ap dhond lie

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

Main kahan se dhoondon ga Dhond bhi liya to sharmaye ga

k Main is intezaar mein tha k mera mehboob aaye ga:smokin:

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

***Abhi soraj nahin dooba zara si sham hony do
******main khud hi loat jaun ga mujhy nakam hony do

******mujhy badnam karny k bahany dhundty ho q?
******main khud ho jaun ga bdnam pely nam hony do

******abi karna nahin aetraf-e-shikast mujhko
******main sab tasleem karlun ga ye charcha aam hony do

******meri hasti nahin anmool phir b bik nahin sakta
******wafaen bech lena par zara nilaam hony do

******naye aghaz main hi hosla q haar baithy ho?
******jeet jao ge tm sab kch zara anjaam hony do

:5:***

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

Kahn se copy paste kya hai :faizy:

Edit kr k Zara thek kar lo pattern

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

i dnt know wat u talking abt .. :barbie:

Re: Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

g g bilkul ab tu yehi kahay gay :cb: