usay pata tha vo kaya chaati hai -
usko apnal dulha banana chahti hai
uskay saath apna ghar basana chati hai
mohabbat main usko kush rakhna chahti hai
uski mohabbat din raat chahti hai
lakin vo yeh smajh na sakaa
maan-baap ki baat sunnay laga
maan ka pyaara beta thaa
jo usnay kaha karnay laga
saaf saaf usnay keh diya thaa -
main tum se mohabbat karti hoon
jis zameen par chaltay ho
jhuk jhuk k zameen choomti ho
aao zindgi saath saath nibhaain
saath main ek ghar basain
main teri hoon
tum meray ban jaao
challo kushi se saath rahein
lakin vo maan ka pyaara beta tha
uskay kaan maan ki taraf thay
jo bhi main nay usko kaha
vo suntay huey bhi na sun saka
vo chala gaya
hamesha k liya mujhay akelay
chor kar chala gaya
log mujhay kehtay hain
main pagli hoon
usko nahin bhoolti hoon
kyaa duniya main
mohabbat k liyay
koee aur aadmi nahi hai
usnay meri baat na suni
main nay logon ki baat na suni
magar kabhi ye sochti nahin
mujhay ek dulha chahiyay thaa
ghar waala chahiyay thaa
maan ka beta nahin chahiyay thaa.
Note: Inspired by a poem of Dushwaari.