Usay apne farda ki fikr thi, wo jo mera waqif e haal tha
wo jo uski subh e urroj thi, wohi mera waqt e zawaal tha
Mera dard kaise wo janta, meri baat kaise wo maanta
wo to khud fanaa ke safar pe tha, usay rokna bhi muhaal tha
Wo jo uske samne aagaya ,wohi roshni main nahaa gaya
Ajab uski haibat e husn thi, ajab uska rung e jamaal tha
Wo mila to sadiyon ke baad bhi, mere lab pe koi gila na tha
Usay meri chup ne rula diya, jisay guftugu main kamal tha