Usay Meri Chup Ne Rula Dia , Jisay Guftugoo Main Kamal Tha

One of my most fav ghazal..

Usey apnay ferda ki fikr thi woh jo mera waqif-e-haal tha
Woh jo us ki subh-e-urooj thi wohi mera waqt-e-zawaal tha

Kahan Jao Ge Mujhe Chhor Ker Main Ye Pooch Pooch Ke Thak Gaya
Wo Jawaab Mujh Ko Na De Saka Wo To Khud Sarapa Sawaal Tha

Meri Dard Kese Wo Jaanta Meri Baat Kese Wo Maanta
Wo To Khud Fana Ke Safar Main Tha Usay Rok’na Bhi Muhaal Tha

Wo Jo Us Kay Samnay Aa Gaya, Wohi Roshni Main Naha Gaya
Ajab Us Ki Haybat-e-Husn Thi, Ajab Us Ka Rang-e-Jamal Tha

Dam-e-Wapsi Usay Kia Hua, Na Wo Roshni Na Wo Taazgi
Wo Sitara Kesay Bikhar Gaya, Wo To Apni Misal Aap Tha

Wo Mila To Sadyon Ke Baad Bhi, Meray Lub Pe Koi Gila Na Tha
Usay Meri Chup Ne Rula Dia , Jisay Guftugoo Main Kamal Tha

Meray Sath Lag Kay Wo Ro Diya, Mujhe Faqat Itna Wo Keh Saka
Jisay Janta Tha Main Zindagi, Wo To Sirf Wehm-o-Khayaal Tha

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia , Jisay Guftugoo Main Kamal Tha

:lajawab:

My all time favourite from Zahid Fakhri

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia , Jisay Guftugoo Main Kamal Tha

:D

why :D ?

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia , Jisay Guftugoo Main Kamal Tha

k aap ki bhi fav aur meri bhi :)

n to bring my thread ooper again :@:

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia , Jisay Guftugoo Main Kamal Tha

yeh cheating hai. :emmy:

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia , Jisay Guftugoo Main Kamal Tha

:hat: Every thread is special Celeron Bhai. :k:

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia , Jisay Guftugoo Main Kamal Tha

u are right :) bus thora mean ban gaya main :(

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia , Jisay Guftugoo Main Kamal Tha

mine fav too :k:

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia , Jisay Guftugoo Main Kamal Tha

thank u Sannan :)