Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

Pata Nahi Iss Ghazal Ke Chund Ashaar Meri Zubaan Pe Kion Aa Rahay Hain Aaj. Ye Ghazal Kitni Baar Share Hui Hai, But Em Helpless As I Have To Share..

Usay Apni Farda Ki Fikr Thi Wo Jo Mera Waqif-e-Haal Tha
Wo Jo Uski Subh-e-Urroj Thi Wohi Mera Waqt-e-Zawaal Tha

Kahan Jao Ge Mujhe Chhor Ker Main Ye Pooch Pooch Ke Thak Gaya
Wo Jawaab Mujh Ko Na De Saka Wo To Khud Sarapa Sawaal Tha

Meri Dard Kese Wo Jaanta Meri Baat Kese Wo Maanta
Wo To Khud Fana Ke Safar Main Tha Usay Rok’na Bhi Muhaal Tha

Wo Jo Us Kay Samnay Aa Gaya, Wohi Roshni Main Naha Gaya
Ajab Us Ki Haybat-e-Husn Thi, Ajab Us Ka Rang-e-Jamal Tha

Dam-e-Wapsi Usay Kia Hua, Na Wo Roshni Na Wo Taazgi
Wo Sitara Kesay Bikhar Gaya, Wo To Apni Misal Aap Tha

Wo Mila To Sadyon Ke Baad Bhi, Meray Lub Pe Koi Gila Na Tha
Usay Meri Chup Ne Rula Dia , Jisay Guftugoo Main Kamal Tha

Meray Sath Lag Kay Wo Ro Diya, Mujhe Fakhri Itna Wo Keh Saka
Jisay Janta Tha Main Zindagi, Wo To Sirf Wehm-o-Khayaal Tha

I Hope Ke Aap Log Mind Nahi Karain Ge Iss Repetetion Ko..

Regards,

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

My Mossstt fav Ghazal.. :lajawab:
Thnx 4 sharing Ahmer.

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

is ghazal ki audio hai?

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

Thnx Shumaisa.. meri bhi buhat fav hai.. :(

Aaanaa.. nahi meray paas to audio nahi.. kia aap ke paas hai?

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

Sad face kyun.. ?? :emmy:

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

pata nahi q.. mera buhat ronay ko dil ker raha hai.. buhat saray aansu aankhon main aaker ruk gaye hain..

:teary2:

cant cry na as em in office.. sir main dard shuru ho gaya hai :frowning:

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

^ laikin rona kyun aa raha hai, koi wajeh tou hogii na.. tum wajeh batao phir main saath mill k ro lon gii.. :bummer:

uff subah subah aisi baatain :vivo:

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

^ sachi wajah mujhe bhi nahi maloom.. :teary2:

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

subah i saw two fire brigades that were petrolling to some place.. unki awaaz sun k ajeeb hawl uthay dil main.. den rona aaya k meray sheher ko kis ki nazar lag gai..

em feelin so bad.. :(

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

^ hamari apnii hi aurr kis ki.. :frowning:
Acha challo ab mood theek karo, main bacha bolon gi tou naraz ho jaao ge.. :hoonh:

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

em not bacha.. acha :ASA:

mera mood foran se theek ho jata hai aksar.. magar abhi to sir main buhat dard shuru ho gaya..

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

Iss dande ko sir pe laga k daikh lo shayad theek ho jaye, kyun k maire pass hota tou main to ab tak laga chuki hotii.. :grumpy:

Tumhara koii haal nahin hai sachii.. pareshani mein khud b paagal ho jatay ho aur dosron ka b yehi haal kartay hoge.. :naraz:

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

nahi Shumaisa.. main sirf aap se share kera hai.. warna em sitting quietly with out letting any of my colleagues know k em in pain.. :(

danda maar loon main.. :(

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

lol.. Ahmerrrrrr.. :smack:

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

buhat khob ahmer
but aj kal koi nayi cheez nahi arahi
kia baat hai?

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

thnx DS jee.. bus meri kaahili keh lejay :(

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

Shumaisa.. aap hansay :teary2:

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

Wo Mila To Sadyon Ke Baad Bhi, Meray Lub Pe Koi Gila Na Tha
Usay Meri Chup Ne Rula Dia , Jisay Guftugoo Main Kamal Tha

buhat khoob :k:

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

Haan tou.. :stuck_out_tongue: …tum ne kaha hi aise tha ‘‘Danda maar lon main’’ main ne hansna nahin tha mairi hansi chuutt gaii.. :@:

Sorry.. :bb:

Re: Usay Meri Chup Ne Rula Dia Jisay Guftugoo Main Kamal Tha..

thnx zakhmi jee.. :)