Usay Maine Hi likha Tha

                                                                                                                                                          **          Usay maine hi likha tha

Kay lehjey barf ho jayein
Tou phir pighla nahi kartey
Parinday dar kay urr jayin
Tou phir lota nahi kartay

Usay maine hi likha tha
Yaqeen uth jaye tu shayed
Kabhi wapis nahi aata
Hawaon ka koi toofaan
Kabhi barish nahi lata

Usay maine hi likha tha
Kay sheesha toot jaye tou
Kabhi phir jurr nahi pata
Jo rastey se bhatak jaye
Woh wapas murr nahi pata

Usay kehna woh bay’maani adhoora khat
Usay maine hi likha tha
Usay kehna kay deewanay
Mukammal khat nahi likhtay…**

Re: Usay Maine Hi likha Tha

fara ji bohat kamaal ki nazm hey, mukhtasar lekin pur'asr... bohat acha laga parrh ke...thanx for sharing it with us :)

Re: Usay Maine Hi likha Tha

Yep, I loved this nazam too... short but every verse is meaningful :)

Re: Usay Maine Hi likha Tha

Very very nice fara.

Re: Usay Maine Hi likha Tha

bohat alaa fara…dara dara k mar dia or abhi ye adhoora khat hai :cb:

Re: Usay Maine Hi likha Tha

pehlay bhi kai baar nazar sey guzri, lekin humesha parh ke lutf aya , share karney ka shukriya:-)

Re: Usay Maine Hi likha Tha

Zabardast sharing fara …:k:

Re: Usay Maine Hi likha Tha

one of my fav :)

Re: Usay Maine Hi likha Tha

bahoot umda nazam thii...paRh kar lutf aa gayaa...keep sharing plz :) thankoo

Re: Usay Maine Hi likha Tha

Lovely :k:

Re: Usay Maine Hi likha Tha

very nice1 fara :k:

Re: Usay Maine Hi likha Tha

bht he khobsorat nazam hai
thanks

Re: Usay Maine Hi likha Tha

Thanks everyone :)

Re: Usay Maine Hi likha Tha

i really like it :)

Re: Usay Maine Hi likha Tha

Shukran HH