Usay Kehna …
Abhi Tak Dil Dharakta Hai , Abhi Tak Sans Chalti Hai.
Abhi Tak Ye Meri Ankhain Suhanay Khuwab Bunti Hain.
Mere Honton Ki Junbish Mea Tumhara Naam Rehta Hai.
Abhi Barish Ki Boondon Mea Tumhara Pyaar Baqi Hai.
Usay Yea Bhi Bata Dena Abhi Izhar Baqi Hai.
Abhi Yaadon K Kaanton Se Mera Daman Ulajta Hai.
Tumhara Pyar Seenay Mea Kaheen Ab Bhi Dharakta Hai.
Hawa Ab Bhi Mawafiq Hai Humaray Sath Chalti Hai.
Usay Kehna Judaee Ka Abhi Mosam Nahi Aya
Mohabat Ki Kahani Mea Kaheen Bhi Gham Nahi Aya
Magar Sab Kuch Badalne Mea Bhala Kia Der Lagti Hai.
Kisi Ki Yaad Dhalne Mea Bhala Kia Der Lagti Hai.
Naya Sooraj Nikalne Mea Bhala Ka Der Lagti Hai.
Usay Kehna …
Wo Jaldi Faisala Kar Le
Naey Raston Peh Chalne Mea Bhala Kia Der Lagti Hai.
Re: Usay Kehna .....
Buhat Aalaa Jee ... Thanx for Sharing ;~)
Re: Usay Kehna …
nice1:chai:
Re: Usay Kehna .....
Aryaan , saqi jani , PK , sana dubai :) Thanks
Re: Usay Kehna .....
awesome...