Usay daikha nahi, socha bohut hay

Usay daikha nahi, socha bohut hay
Eik naam or uss naam ki aik shaam bohut hay

Raat andhairi or paon safar main
Rahnuma honay ko eik tara bohut hay

Kahain jo rah main mil jay appni
Zinda rehnay ko eik jhalak bohut hay

Kiyon her baar daytay ho zehmat qalum ko
Faryaad dil e be-qaraar ki eik baar bohut hay

Kabhi jo thak kar laiT gay saya e shajar main
Azad~ zameen ki godH ho, gaz bhar bohut hay

Adab Arz
(Azad)

:k:

Re: Usay daikha nahi, socha bohut hay

**

Thats true ... Ussay dekha nahee socha bahut hai**

:k:

bohat khoob :k::k::k:

nicee :k:
keep it up :slight_smile:

aapki is post ka intezar bohat tha
dil isae parhnae ko be qaraar bohat tha
ab samnae aaya hai tu haeran hain aankhain
yeh shaks tu lagta pur israr bohat tha,
thanks azad sb,
adab arz hai, aap ko bhi,

nice:k:

Very nice Azad jee....

Bohat acha hai... kafi hai dill ko choo lanay kay liya....

aab aap pur israr behi hoo gaya hoo....

Dragon~King
arifnawaz
SunnyBoy
Sudaii
chand_chehra
Aadhori
Gazal kisi ke
Dilsay

Thank you all :)

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Very nice Azad jee....

Bohat acha hai... kafi hai dill ko choo lanay kay liya....

aab aap pur israr behi hoo gaya hoo....
[/QUOTE]

Dilsay Nawzish hay ... Hum to Sirf Azad hain aghar dil ki aankh say dikho, Nafrt mohabat ki Aynak laga kar daikho gay to hum kuch bhi nazar asaktay hain.

[QUOTE]
*Originally posted by aadhoorighazal: *
aapki is post ka intezar bohat tha
dil isae parhnae ko be qaraar bohat tha
ab samnae aaya hai tu haeran hain aankhain
yeh shaks tu lagta pur israr bohat tha,
thanks azad sb,
adab arz hai, aap ko bhi,
[/QUOTE]

aadhori aap ko takmeel mubarak ho, aap itna acha lekhti hain baray kuch kehna chiragh dekhana hay.

?

[QUOTE]
Originally posted by aadhoorighazal: *
aapki is post ka intezar bohat tha
**dil isae parhnae ko be qaraar bohat tha
ab samnae aaya hai tu haeran hain aankhain
yeh shaks tu lagta pur israr bohat tha,
*
thanks azad sb,
adab arz hai, aap ko bhi,
[/QUOTE]

Mujahay tu lag raha hai
Ka aap ko ho giya hai
Jo behi howa hai Dilsay
Howa hai
Aab ya na poocho ka kiya howa hai

nahin dilsay asl main aap ko ho gaeya hai, gee MUGHALTA, samjhetae hain aap, punjabi main ghalat fehmee ko kehtae hain !!! anyways I appreciate the humour!!!

Azad sb aap ki aadhi baatain mujhe samajhe nahin aateen, zara decode kar kae hi likha karain.......kaesee takmeel?????

ap plz mere akhree kohis pore kar do:mad: ap aik bar mera naam sahee likh do:bummer: :teary1:

[QUOTE]
*Originally posted by aadhoorighazal: *
nahin dilsay asl main aap ko ho gaeya hai, gee MUGHALTA, samjhetae hain aap, punjabi main ghalat fehmee ko kehtae hain !!! anyways I appreciate the humour!!!
[/QUOTE]

Mohtarma.... main wo zaban behi samajahta hoon jo boli nahi jatee... (ankhoon ke zaban) aap apna kam jari rakhoo.... kisi zaban main behi... Allah behtar he karay ga...

Impress hum say
Intazar kisi aur ka (posting)
Akhir kyon… :nono1: :smack: Uff ya larkiyan…

lets start… :kaboom:

aap ki akhree khwahish akhir main pora karain gay na :slight_smile: