kahan a k rukay thay rastay!kahan moarh tha usay bhoul ja
woh jo mil gaya usay yaad rekh,jo nehi mila usay bhoul ja
woh teray naseeb ki barishain kisi aur chet per beres gayien
dil-e-baikhaber mer baat sun, usay bhoul ja,usay bhoul ja
main to gum tha teray hi dhian main,teri aas,teray guman main
saba keh gaye meray kaan main,meray sath aa,usay bhoul ja
kahien chak-e-jaan ka refou nehi,kisi asteen pay lehou nehi
k shaheed rah-e-malaal ka nehi khoun beha,usay bhoul ja
kion atta houa hay ghubar main,ghum-e-zindegi k fishar main
woh jo derj tha teray bekht mainso woh ho gaya usay bhoul ja
na woh aankh teri aankh thi,na woh khewab hi tera khewab tha
dil-e-muntezir to yeh kis liyai,tera jagna,usay bhoul ja
yeh jo raat din ka khail sa,usay daikh,us per yaqeen na ker
nehi akes koie bhi musteqil,ser-e-aiena usay bhoul ja
jo besat-e-jaan hi ulet gaya,woh jo rastay say palet gaya
usay rokenay say hasool kia,usay met boula usay bhoul ja
to yeh kis liyai sheb-e-hijer k usay her sitaray main daikhena
woh falek k jis pay milay thay,hum,koie aur tha,usay bhoul ja
tujhay chaand ben k mila tha jo,teray sahilon pay khaila tha jo
wph tha aik deria wisaal ka so uter gaya,usay bhoul ja
AMJAD ISLAM AMJAD