Usay Apnay Farda ke fikar thee woh jo mera waqif-e-haal tha
woh jo us ke Urooj-e-subah thee wohi mera waqat-e-zawal tha
mera dard kesay woh janjta meri baat kesay woh manta
woh to khud fanna k safar pay tha usay rokna mohaal tha
Kahan jao gay mujhay chor kar main yeh pouch pouch kat thak gya
woh jawab tak na day saka woh too khud sarpa sawal tha
Dum-e-wapisi usay kya howa na woh roshni na woh tazgi
woh sitara kesay bikhar gaya woh to aap apni misaal tha