**Jab shab k shikasta zeenon se mehtaab utarne lagta hai
Jab gham k sard alaa-o mein umeedein bhujhnein lagti hain
Jab Dil k shooredah samander mein aawazein marne lagti hain
Jab mosam haath nahi aatay, jab titli baat nahi karti
Jab aanay wala hur lamha dushman sa dhikaai daita hai
Jab zinda rehna ik be-maani kaam dhikhaai daita hai
Jab yaad k gehre saey mein sanatay gum ho jatay hain
Jab dard se bojhal ankhon mein gardaab se parne lagtay hain
Jab sham-ein gul ho jati hain , jab Khwaab bikherne lagtay hain
US WAQT AGAR TUM AA JAO…**