**Khuwabon Ki Dekh Bhaal Mein Aankhien Ujar Gaien
Tanhaiyon Ki Dhoop Nay Chehray jala Diye.
Lafzon Kay jorney Mein Ebarat Bikhar Chalii
Aaiyena Dhoondney Mein Kaii Aks Kho Gaye.
Aaye Na Phir wo loat Ke Aik Baar jo Gaye…
Wo Din, Wo Waqt, Wo Rut, Wo musam, Wo Sarkashi
Aey Gardisht e Hayaat, Aey Raftaar e Mah o Saal
Kya Jamma Is Zameen Pey Nahien hongey Phir Kabhi ?
Jo humsafar Farak Kii Daldal Mein Kho Gaye…???
Patay jo Girr Kay Pair Say Raston Kay ho Gaye
Kya Phir Kabhi Na loat Kay Aaye Gii wo Bahaar???
Kya Phir Kabhi Na Aankh Mein Utray Gii wo Dhanak???
Lamhay Zamaan e Hijr Kay Phailay Kuch Is Tarah
Degay e Rawaan e dasht Ki Tamsaal ho Gaye
Is dasht e Pur Saraab Mein Bhatkay hain Is Qadar
Naqsh e Qadam Thay Jitnay Bhi Pamaal ho Gaye
Ab tu Kahien Khatam ho Rasta gumaan Ka
Sheeshay Mein Dil Kay Sarey Yaqeen Baal ho Gaye
Jis Waqe’ay Nay Aankh Say Cheenii Thii Meri Neend
Us WaQe’ay ko Ab to Kaii Saal ho Gaye …!!!**
Khuwabon Ki Dekh Bhaal Mein Aankhien Ujar Gaien
Tanhaiyon Ki Dhoop Nay Chehray jala Diye.
Lafzon Kay jorney Mein Ebarat Bikhar Chalii
Aaiyena Dhoondney Mein Kaii Aks Kho Gaye.
Aaye Na Phir wo loat Ke Aik Baar jo Gaye......