us sitamgar ko yarab na bhula payun gee
daag us kay lagaye dill pay na mita payun gee
wo apna bana kay chor bhi gya hay mujhe
bedard zamanay ko kaisay yay bata payun gee
wo kya hay meray liye kabhi samajh na paye ga
aur main apnay dill ki baat na suna payun gee
wo bahany dhoondta hay bicharnay kay mujh say
aur main us kay bin na tanha rah payun gee
sabi wo meray dill main ghar kab ka kar chuka
kya us kay dill main makaan apna bana payun gee