us shaam vo rukhsat kaa samaan yaad rahegaa

**us shaam vo rukhsat kaa samaan yaad rahegaa **
**vo shahar vo kuuchaa vo makaan yaad rahegaa **

**vo tiis ki ubharii thii idhar yaad rahegii **
**vo dard ke uthaa thaa yahaan yaad rahegaa **

**ham shauq ke shole kii lapak bhuul jaayenge **
**vo shamaa-e-fasurdaa kaa dhuaan yaad rahegaa **

**kuchh miir ke abyaat the kuchh faiz ke misare **
**ik dard kaa thaa jin mein bayaan yaad rahegaa **

**jaan bakhsh sii thii us gul_barg kii taraavaat **
**vo lams-e-aziiz-e-do-jahaan yaad rahegaa **

**ham bhuul sake hain na tujhe bhuul sakenge **
**tuu yaad rahegaa hamen haan yaad rahegaa **

Re: us shaam vo rukhsat kaa samaan yaad rahegaa

**ham bhuul sake hain na tujhe bhuul sakenge **
**tuu yaad rahegaa hamen haan yaad rahegaa

:k:**

Re: us shaam vo rukhsat kaa samaan yaad rahegaa

ek sher yaad aa gia

Yaad Rahe Ga Ye Daur-E-Hayat Hum Ko
Tarsay The Zindagi Main Ek Shakhs K Liye

Re: us shaam vo rukhsat kaa samaan yaad rahegaa

Wah :k:

Re: us shaam vo rukhsat kaa samaan yaad rahegaa

aisa daur kab guzra hai

Re: us shaam vo rukhsat kaa samaan yaad rahegaa

aab kis kis baat ko rooN Nasir
apna kahna to bus itna he tha