us shaam vo ruKhsat kaa samaa.N.....

… yaad rahegaa
vo shahar vo kuuchaa vo makaa.N yaad rahegaa

vo Tiis ki ubharii thii idhar yaad rahegii
vo dard ke uThaa thaa yahaa.N yaad rahegaa

ham shauq ke shole kii lapak bhuul jaaye.nge
vo shamaa-e-fasurdaa kaa dhuaa.N yaad rahegaa

kuchh miir ke abyaat the kuchh faiz ke misare
ik dard kaa thaa jin me.n bayaa.N yaad rahegaa

jaa.N baKhsh sii thii us gul_barg kii taraavaat
vo lams-e-aziiz-e-do-jahaa.N yaad rahegaa

ham bhuul sake hai.n na tujhe bhuul sake.nge
tuu yaad rahegaa hame.n haa.N yaad rahegaa

:eek: :rolleyes: ye aj itna kis ki yaad a rehi ap ko…kisi ko kia station pe chor k aiey :stuck_out_tongue:

mazak k part nice one :k:

nice one KK :)

keep up the good work :D

Hooran-e-Jannat ke … :rolleyes:

bohut khoob:k:

wah :k: buhat khoob
:k:

zebedrestt:k: aap to kafi bazoq niklay:D

:blush: bas je … agai aagai daikhye hutta he kiaa … :rolleyes:

Hum bhool sake hain na tujhe bhool sakenge
Tu yaad raheyga humein haan yaad raheyga…

Wah… wonderful :k:

ab kia CHUN CHERHEHANA hay:eek: :smiley:

:k: superb :k:

CHUN CHERHEHANA <------:confused:

lolss yeh mujhay bhi nehi pata :rotfl: :rotfl:

meri amaan kabhi kabhi kehtti hain i think “GUL khilana” not sure i ll ask my mom:rotfl: :rotfl:

:smack: tu Gul Khillana he likh dainna tha na … :hoonh:

lolss yeh ziadah funny nehi hay na:D