Us Say Keh Dayina!!!

Karay hain hijr k lamhaat us se keh dayina
Bikhar rahi hai meryee zaat us se keh dayina

Hawa e mosaum-e-gham us k shahar jaye tou
Meray dukhoun ki koi baat us se keh daiyna

Ye wahshtein ye udasi ye ratjagoun k azab
Usi ki hai ye inaayaat us se kah daiyna

Bohat taveel bohat karb’naak hoti hai
Judaioun ki her ik raat us se keh dayina

Wo dil ki baazi jahan mujh se jeetna chahay
Mai maan loon gee wahein maat us se keh dayina

Wafa ki raah mein mai aaj bhi akeli hoon
Koi nahee hai meray sath us se keh dayina

Re: Us Say Keh Dayina!!!

waah g; nice sharing

Re: Us Say Keh Dayina!!!

nice sharing

Re: Us Say Keh Dayina!!!

brilliant!

Re: Us Say Keh Dayina!!!

Very Nice :k:
Thanx

Re: Us Say Keh Dayina!!!

Thanks everyone..

Re: Us Say Keh Dayina!!!

yaaron kahan tak aur muhabbat nibhaun mei
do mujhko bad-dua ke usse bhool jaun mei

Re: Us Say Keh Dayina!!!

Nice sher jhanjharwali..

Ab aur kia kisi say muhabbat nibhayin hum
Yehi bohat hai k tujhe bhool jayin hum

Re: Us Say Keh Dayina!!!

Nice :k:

Re: Us Say Keh Dayina!!!

Wafa ki raah mein mai aaj bhi akeli hoon
Koi nahee hai meray sath us se keh dayina…hmmmmmm:hinna:

Re: Us Say Keh Dayina!!!

nice

Re: Us Say Keh Dayina!!!

Thanks..

Re: Us Say Keh Dayina!!!

Wow very nice sharing. :k:

Re: Us Say Keh Dayina!!!

superb!

Re: Us Say Keh Dayina!!!

very nice thanks for sharing