**Us ny ek baar Mujhsy Poocha
K batao…
Tum mujhy kitna yaad karty ho?
Main`ny kaha bahat Ziyada,
Us ny dubara sawaal kia…
Phir bhi batao to sahi aahir kitna?
Main`ny kaha…
Bahat, Bahat, Bahat Ziyada
Mera jawaab sun kar
Wo Zair-e-Lab dheery sy muskura`e or kaha,
Ab mujhsy bhi to poocho
Or jab main`ny poocha…
To us ki muskurahat gahri hoti chali ga`e,
Or halka sa gulaabi rang us k chehry pay aa`kar guzar gaya,
Us ny mujhy doobi hui nazron sy dekha
Or phir palkeyn jhuka kar boli…
Paagal...
“Yaad to unheyn kia jata hy jinhy Aadmi bhool ja`ay”**