Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai ?
MAin ney kaha sitaron ka koi shumar nahin
Us ney kaha k kon tumhin hai bohat aziz ?
MAin ney kaha, dil pey jis ka ikhtiyar hai
Us ney kaha Kon sa Tofah tumhin main doon ?
MAin ne kaha wohi shaam jo abhi tak udhar hai
Us ney kaha Khizan main mulaqat ka jawaz ?
Main ney kaha, qurb ka matlab bahar hai
Us ney kaha senkron gham zindagi main hain ?
Main ney kaha gham nahin, jab ghamgasar saath hai
Us ney kaha saath kahan tak nibhaon gi ?
Main ney kaha jitni yeh saans ki taar hai
Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kiss tarah ?
Main ney kaha, naam mera aetbaar hai.