Us ne kaha tha...

**us ne kaha tha
waqt kitna he beet jaai

haalat kitnay he bdl jaain
zamana kitna he guzar jaai
magar dil main teri chaht ka diya
roshan rahay ga
tum jb bhi mujhay pukaro gay
mujhay apnay qareeb paao gay
us ne kaha tha
waqt kitna hi beet jaai
mere dil main teri chaht ka diya
roshan rahay ga
us ne kaha tha
main tere ansoo chun loon ga
tere dukh hns k utha loon ga
tere sang chaloon ga
tujhay khud main chhupa loon ga
tum jab bhi mujhay pukaro gay
mujhay apnay qareeb pao gay
us ne kaha tha
waqt kitna he beet jaay
mere dil main teri chaht ka diya
roshan rahay ga
us ne kaha tha “malik”
tere tanhaaion ko khud main utar loon ga
tere khamoshyon ko zuban dun ga
tere udasyon ko mita dun ga
tujhay khud main chupa loon ga
tum jab bhi mujhay pukaro gay
mujhay apnay qareeb pao gay
us ne kaha tha
waqt kitna hi beet jai
mere dil main tere chahat ka diya
roshan rahay ga
us ne kaha tha
main loat aon ga
main tujhay zamanay se chura loon ga
main tujhay Rab se mang loon ga
main tera hath tham loon ga
main tujhay tnha nahi karoon ga
main loat aon ga
Laikin
aaj main tnha hoon
tu wo aata hi nahi
jis ne kaha tha
tum jab bhi mujhay pukaro gay
mujhay apnay qareeb pao gay
us ne tu kaha tha
waqt kitna hi beet jai
mere dil main teri chahat ka diya
roshan rahay ga**

:teary2:

Re: Us ne kaha tha…

Good one neha :k:

Re: Us ne kaha tha...

changi poetry

Re: Us ne kaha tha...

wah aaj woh ati nahin :( ata nahin!

Re: Us ne kaha tha…

gud 1…

http://www.paklinks.com/gs/ok

Re: Us ne kaha tha...

nice sharing.............

Re: Us ne kaha tha...

v nice ..... keep it up

Re: Us ne kaha tha...

nice one