Ussnay kaha., ishk ka Nasha Utar gaya..
Main nay kaha, Husn bhi tum say Mukar gaya..
Usnay kaha, tujh ko Dilani hayn Choriyaan..
Main nay kaha, Ab Vo Zamana Guzar gaya..
Usnay kaha, Ye Tairi Chirion say Dosti..
Main nay kaha, Duniya say mera dil Bhur gaya..
Ussnay kaha, Khuwab main anay ka Wakt do…
Main nay kaha, Neend ka Mosam Guzar gaya..
Usnay kaha, Wo tairay Soraj ka Kiaa Bana..?
Main nay kaha..“Wo Mairay Dil say Utar gaya…”
Ussnay kaha.. Wo nahe day ga Saath Tumhara..
Main nay kaha.. “Chalo Wada to kar gaya..”
Akhir ko Tang a kay, Ussnai kahi ittni si Baat…
Wo tum kahan gayeeN? Wo Zamana Kidhurr Gaya…