us nay kaha kay ishq ka nasha uter gia
main nay kaha kay husan bhi tum say mukar gia
us nay kaha kay tujh ko dilani hain choorian
main nay kaha kay ab woh zamana guzar gia
us nay kaha kay kia howi kajal ki dhar si
main nay kaha kay ankh say daria guzar gia
us nay kaha kay yeh teri chirion say dosti
main nay kaha kay dil mera dunia say bhar gia
us nay kaha kay kia mila sub say bigar kay
main nay kaha kay waqat to acha guzar gia
us nay kaha kay khawab main any ka waqat do
main nay kaha kay neend ka mosam guzar gia
us nay kaha kay wo teray sooraj ka kia bana
main nay kaha kay wo meray dil main uter gia
us nay kaha kay wo naheen day ga tumhara saath
main nay kaha kay wo chalo wada to kar gia
akhir ko tang aa kay kahi us nay itni baat
wo tum kahan gaee wo zamana kidher gia