Us nay kaha k mujh say tumhain kitna payaar hai?

Us nay kaha k mujh say tumhain kitna payaar hai?
Main nay kaha sitaron ka koi shumaar hai?
Us nay kaha k kon tumhain hai bohat aziz
main nay kaha k dil pay jisay ikhtayaar hai
us nay kaha k kon sa tohfa hai man pasand
mai nay kaha wo shaam jo ab tak udhar hai
us nay kaha khizan main mulaqat ka jawaz?
main nay kaha qurb ka matlab bahar hai
us nay kaha sainkron gham zindagi main hain
main nay kaha k gham nahi, gar gham gusaar hai
us nay kaha k saath kahan tak nibhao gay
main nay kaha jitni yeh sanson ki taar hain
us nay kaha k mujh ko yaqeen aaye kis tarah
main nay kaha k naam mera “Aitbaar” hai

by Aitbar Sajid

Re: Us nay kaha k mujh say tumhain kitna payaar hai?

Nice sharing :)

very nice :)

is ko to hum pehle hi post ker chuke hain
kitni bar or karo ge ?:smilestar:

Re: Us nay kaha k mujh say tumhain kitna payaar hai?

Very nice jee

Sorry g ghalti ho gai muaaf kar dain…:frowning:

Thanks Koyal g..

Thanks San..

Thanks TN