us maur say shuru karay phir ye zindagii
har shay jahaa’n hasee’n thi, ham tum the ajanabi
lakar chalay thay hum jinhen jannat kay Khwaab thay
phuulo’n kay Khvaab the woh muhabbat kay Khwaab thay
lekin kahaa.N hai un main vo pahalii sii dilakashii
rahatay thay hum hasi’n Khayaalo’n ki bheer main ulajhay huay hai’n aaj savaalo’n kii bheer main
anay lagi hai yaad woh fursat kii har ghari
shaayad ye waqt hamasay koi chaal chal gayaa rishtaa wafaa kaa aur hii rango’n main dhal gayaa
ashko’n kii chaa.Ndanii se thii bahatar woh dhuup hii
*shaayad ye waqt hamasay koi chaal chal gayaa *
*rishtaa wafaa kaa aur hii rango’n main dhal gayaa * ashko’n kii chaa.Ndanii se thii bahatar woh dhuup hii