*Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukaara Mohsin
Mein ne tab tab yeh bataaya ke tumhaara Mohsin
Log sadeyoon ki khataoun pe bhi khush bastay hain
Hum ko lamhoon ki wafaoun ne ujaara Mohsin
Ho gaya jab yeh yaqeen ab woh nahe aayega
Aansoo aur gham ne diya dil ko sahaara Mohsin
Woh thaa jab paas tau jeenay ko bhi dil karta thaa
Ab tau pal bhar nahe hota guzaara Mohsin
Us ko paana tau muqaddar ki lakeroon mein nahe
Us ka khona bhi kaise karain gawaara Mohsin …