Us ko juda huwe bhi zamaana bahut huwa
Ab kya kahain yeh qissa puraana bahut huwa
Dhalti na thee kisi bhi jattan se shab-e-firaaq
Ay marg-e-nagaahan tera aana bahut huwa
Hum khuld se nikal tu gaye hain per ay Khuda
Itne se waqe’ay ka fasaana bahut huwa
Ab hum hain aur saare zamaanay ki dushmani
Us se zara sa rabt barhaana bahut huwa
Ab kyon na zindagi pe muhabbat ko waar dain
Is aashiqui mein jaan se jaana bahut huwa
Ab tak tu dil se dil ka ta’aruff na ho saka
Maana ke us se milna milaana bahut huwa
Kya kya na hum kharaab huwe hain magar yeh dil
Ay yaad-e-yaar tera thikaana bahut huwa
Lo phir tere laboon pe hai us bewaafa ka zikar
Ahmed Faraz, tujh se kaha naa … bahut huwa …