**US ki aankhon main aik Saaya hai
choat kha ker jo muSkuraya hai
Yaad ban ker jo rach gaya khoon main
uS ko Sach much buhat bhulaya hai
Loag kiyun aa gaye mitaane ko
hum ne kab Shehr-e-dil baSaya hai
Soach lo neend rooth jaye gi
Khuwaab aankhon main kiyun Sajaya hai
Hum ne dee hain duayain uS uS ko
dil ko jiS jiS ne bhi dukhaya hai
Jaane wala tou khair kia aata
haan magar dard laot aaya hai
US ne har baar hee faraib diya
baarha hum ne aazmaya hai**
Re: US KI AANKHON MAIN
choat kha ker jo muSkuraya hai
Khub Sad Affects.Bismil sabri ka shyr yad a giya,
Woh Aks ban ky meri chashmy tar main rhta hy
Ajib shakhs hy pani ky ghar main rhta hy
Re: US KI AANKHON MAIN
Thanks Prince ali
Thanx Good news mujhe b 1 shair yaad a gaya hai
AkS paani main agar qaid kia ja sakta
Aain mumkin hai main uS ShakhS ko apna Sakta
Re: US KI AANKHON MAIN
AkS paani main agar qaid kia ja sakta
Aain mumkin hai main uS ShakhS ko apna Sakta
**wah wah wah buhat khub Maza Agiy yad any ky ais tsalsul pr.Buhat acha hy.Ab mujhy kuch nahi yad aya bas lutf a giya shyr prh kr:) **
Re: US KI AANKHON MAIN
Chalein kuch to aaya, waise ye b 1 goodnews hai
IS
7
Re: US KI AANKHON MAIN
*Choat Kha kar jo muskaray hay *
Bohat khoob :-)
*thanks for sharing *