Dilsay
November 9, 2003, 6:37pm
1
Us ke janib behi ghum giya hoo ga
Hansatay hanstay wo tham giya hoo ga
Jis kay har moor pay wafa hai kharee
Us gali main wo kam giya hoo ga
Thahari thahari see ankh rahteee hai
Ashq sa koyee jam giya hoo ga
Phir na lota wo janay wala kabhi
Kar kay kitnay satam giya hoo ga
Chal shab e gham chalain Anees ka ghar
Wo akla saham giya hoo ga
Azad
November 9, 2003, 8:32pm
2
Phir na lotta woh janay wala kabhi
:k:
Amal
November 10, 2003, 11:37am
4
Dilsay bhai ghazal to achi hey lekin aaj kal aap kahaN rehtey heiN? Bohat kam nazar aatey heiN GS par.
Dilsay
November 10, 2003, 2:39pm
5
Wo akla saham giya hoo gaya hoo ga… mari taraha…
Dilsay
November 10, 2003, 3:01pm
7
[QUOTE]
Originally posted by Amal: *
**Dilsay * bhai ghazal to achi hey lekin aaj kal aap kahaN rehtey heiN? Bohat kam nazar aatey heiN GS par.
[/QUOTE]
Amal jee mari taraf zindgai kuch tazi say dour rahee hai baas us ko pakarnay ke koshish main laga howa hoon....
Thanks for remembering
Dania
November 11, 2003, 8:12pm
13
Phir na lota wo janay wala kabhi
Kar kay kitnay satam giya hoo ga
wah zabardast :k: