us kay gham ko gham-e-hasti tu mery dil na bana
zeest mushkil hai isay aur bhi mushkil na bana
tu bhi mehdood na ho mujhy bhi mehdood na kar
apnay naqsh-e-kaf-e-pa ko meri manzil na bana
phir meri a’ss barha kar mujhy mayoos na kar
hasil-e-gham ko khudara gham-e-hasil na bana
dil kay har khail main hota hai bohat jaan ka ziyaa-n
ishq ko ishq hi samjh mashagala-e-dil na bana
aur barh jaye gi weerani-e-dil jaan-e-jahaan-n
meri khalwaat-e-gah-e-khamosh ko mehfil na bana