us ak lehja sharaab jaisa tha!!!

main nay daikha tha un dinon main usay
jub woh khiltay gulaab jaisa tha
us kee palkon say neend chhintee thee
us ka lehja sharaab jaisa tha
log parrtay thay khaal-o-khad us kay
woh adab kee kitaab jaisa tha
us kee zulfon say bheegtee thee ghatta
us ka rukh mahtaab jaisa tha
log suntay thay dharkanon main usay
main na daikha tha un dinon main usay
saaree aankhain theen aaeenay us kay
saaray chehron main intihaab tha woh
sub say ghul mil kay ajnabee rehnaa
ik darya numa saraab tha woh
khwaab yeh keh haqeeqat tha woh
yeh ik haqeeqat hay koee khwaab tha woh
dil keee dhartee peh aasmaan kee tarha
soorat-e-saaya o sahaab tha woh
apnee neendain bhee us kee nazr hureen
main nay paaya tha ratjagon main usay
main nay daikha tha un dinon main usay
jub woh hans hans kay baat karta tha
dil kay khiamay main raat kartaa tha
rang parrtay thay aanchalon main usay main nay daikha tha un dinon main usay
yeh magar dair kee kahanee hay
yeh magar door ka fasaana hay
mairay aur us kay milaap main hayal
ab sadeeyon ka zamaana hay
kiya maloom ab woh kaisa hay
main nay daikha tha un dinon main usay!!!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Thanks for sharing janab

its very nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


in my dreams i was drowning my sorrows , but my sorrows learned to swim

wow very nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggthumb.gif


**]/] ]] $ ] ] ]/] **

OnE LoVe