**
Tere shehar mein humein log miltay hain bahut
Tera naam le ke har pal aazmaatay hain bahut
Hum ne jaana hai mehaz khaloos ko in ke
Woh har zaaweyay se hum ko parakhtay hain bahut
Tarha tarha ke qissay chaltay hain zamaanay mein
Log sunaatay hain bahut hum suntay hain bahut
Urraee jaye na hathoon se raakh apne dil ki
Intezaar ay zeya hum tera kartay hain bahut
Kehne ko kuch paas huwa hai jo ab hoga
Hum bhi tere kochay mein phirtay hain bahut
Dam laboo per aagaya rakh hone laga hai dil
Mehak tera intezaar hum kartay hain bahut
Milan se haseen yeh judaee lagne lagi
Sunsaan rasta phir bhi tak’tay hain bahut
Hum khayaloon mein tumhara chehra banaatay hain
Aur ashkoon se tumhara naam likhtay hain bahut
Saja kar palkain aansoo’on se dil ke chain
Mehak se mehka ke daaman mehaktay hain bahut
Ab tu sochoo mein bhi lab pe hansi nahee aati
Tumhari qasam tumhare liye rotay hain bahut
Suni baat zamaanay ki tu socha ‘Saahil’
Kyon log daulat pe faqat martay hain bahut**
:k: nice one..![]()
:k:
Nice :k:
Cool....
very nice :k:
buhat khoob
Suni baat zamaanay ki tu socha 'Saahil'
Kyon log daulat pe faqat martay hain bahut
sunii sunai baat ka yaqqen na karain saahil jee, kisi roz adhi raat ko Rail se kisi anjanay station par uther jain or woh bhi khali jaib (100% khali no ID no money) and then try to walk back home ;)
Ab tu sochoo mein bhi lab pe hansi nahee aati
Tumhari qasam tumhare liye rotay hain bahut
... bohat khoob.. :(
Nice :k:
Thanks CC
[QUOTE]
*Originally posted by XkanwalX: *
Ab tu sochoo mein bhi lab pe hansi nahee aati
Tumhari qasam tumhare liye rotay hain bahut
... bohat khoob.. :(
[/QUOTE]
Thanks XkanwalX
[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Suni baat zamaanay ki tu socha 'Saahil'
Kyon log daulat pe faqat martay hain bahut
sunii sunai baat ka yaqqen na karain saahil jee, kisi roz adhi raat ko Rail se kisi anjanay station par uther jain or woh bhi khali jaib (100% khali no ID no money) and then try to walk back home ;)
[/QUOTE]
Zaroori nahee ke itna sab kuch kiya jaye Azad sahab, zindagi mein kuch maur aise bhi atay hain jo bahut kuch sikha jaatay hain, newayz, thanx for ur reply !
[QUOTE]
*Originally posted by Galaxy: *
buhat khoob
[/QUOTE]
Thanks Galaxy !
Thanks
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Cool....
[/QUOTE]
Thanks
Thanks
Thanks
[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
Zaroori nahee ke itna sab kuch kiya jaye Azad sahab, zindagi mein kuch maur aise bhi atay hain jo bahut kuch sikha jaatay hain, newayz, thanx for ur reply !
[/QUOTE]
Arif jee theek kaha aap nay