~Urraee jaye na hathoon se raakh apne dil ki~

Tere shehar mein humein log miltay hain bahut
Tera naam le ke har pal aazmaatay hain bahut
Hum ne jaana hai mehaz khaloos ko in ke
Woh har zaaweyay se hum ko parakhtay hain bahut
Tarha tarha ke qissay chaltay hain zamaanay mein
Log sunaatay hain bahut hum suntay hain bahut
Urraee jaye na hathoon se raakh apne dil ki
Intezaar ay zeya hum tera kartay hain bahut
Kehne ko kuch paas huwa hai jo ab hoga
Hum bhi tere kochay mein phirtay hain bahut
Dam laboo per aagaya rakh hone laga hai dil
Mehak tera intezaar hum kartay hain bahut
Milan se haseen yeh judaee lagne lagi
Sunsaan rasta phir bhi tak’tay hain bahut
Hum khayaloon mein tumhara chehra banaatay hain
Aur ashkoon se tumhara naam likhtay hain bahut
Saja kar palkain aansoo’on se dil ke chain
Mehak se mehka ke daaman mehaktay hain bahut
Ab tu sochoo mein bhi lab pe hansi nahee aati
Tumhari qasam tumhare liye rotay hain bahut
Suni baat zamaanay ki tu socha ‘Amarbail’
Kyon log daulat pe faqat martay hain bahut…

Kyon log **daulat **pe faqat martay hain bahut...

Ab samajh main aya teray chehray pe 'Til' ka matlub
**Doulat **e hussan pe darbaan bittha rakha hay !!!!!!!!!!

haiiiii qurban jayeay aisay darban kay ........

Kyon log daulat pe faqat martay hain bahut....

ap nahin martay daulat per ... strange ;)

any way nice one thanks for sharing !

laajawab :k:

Thanks Azad, TajMahal and AsSweetAs ...

zabardast :k::k:

Tarha tarha ke qissay chaltay hain zamaanay mein
Log sunaatay hain bahut hum suntay hain bahut
Urraee jaye na hathoon se raakh apne dil ki
Intezaar ay zeya hum tera kartay hain bahut

aik dam zabrdast :)