Urdu ZubaN

Marii mazluum urdu teyri sansoun mai ghutann kion hai
Tayra lahja mahektaa hai tou lafzoun mai thakan kion hai
Agar tuu phool hai tou phool mai itniee chuban kion hai
Watan mai baywatan kion hai
Yeh nanak ki yeh khusroo ki dayaashankar ki boli hai
Yeh divali yeh baisaki yeh eid-ul fitar holi hai
Magar yeh dil ki dhakrkan ajj dil ki jalan kion hai
watan mai bay watan kion hai
Yeh nazon say pali thee mir ki ghalib kai agan mai
Jo suraaj ban key chamki thee kabho mehaloun kii daman main
Voh shahzadi zabaano ki yahan bay anjuman kion hai
watan mai baywatan kion hai
Mohabbat kaa sabhi eaylan kar jatay hain mehfil mai
Kai is kai wastay jazbaa hai hamdardi kaa har dil nai
Magar huq mangnay kai waqt yeh beygana pan kion hai
watan mai bay watan kion hai
Yeh doshiza jo bazaroun say ithlayti guzarti thee
Laboun ki naazuki jis ki gulaboun say bhikerti thii
Jo tehziboun kay ser ki orrhni thii abb kafan kion hai
watan mai baywatan kion hai
Mohabaat ka agar davaa hai tou is ko bachao tum
Jo vadaa kal kiya tha ajj woh vadaa nibhaou tum

Tayra lahja mahektaa hai tou lafzoun mai thakan kion hai

:)

Married NY,

Aapne hamaare dil ko choo liya hain!

:rolleyes: :rolleyes: wo married haiN..:stuck_out_tongue:

nice one married je :)

To ham bhi married hain yaar. Ham married logonko unmarried logonse taluk nahi!

LOL

BOHAT SHUKRIA PASAND KERNAY KA.....NAWAZIH APP SUUB KI..

Nice :k:

:)