Re: urdu words which pronounce same but diff in written n meanings
ye to bat na hui, maulaanaon ko q chor dain? wo urdu nahi boltay kya? "laam aain laam" aur "laam alif laam" main farak hay, likhnay main bhee bolnay main bhee
f course farq hai magar mullaa log hii sirf ain kaa Khayaal rakhte haiN magar urdu kaa mizaaj ain kaa hai hii nahiiN...urdu ke jo gaRh haiN vahaN bhii ai'n ko alif hii kahte haiN...maiN ne aaj tak kisii aam urdudaaN ko la'l [with ai'n pronounciation] kahte nahiiN sunaa :)
Re: urdu words which pronounce same but diff in written n meanings
never heared of this type of chayn (is it sukh chain wala chain?)
yes :) ek aur mani bhii haiN Hindi meN chit dil ko kahte haiN aur ek film bhi aayii thii chitchor! :)
Re: urdu words which pronounce same but diff in written n meanings
^ ye jo chit chayn wala aapnay likha hay shaid ye bhee hindi main ho urdu main esa kabhi nahi suna
HIndi aur Urdu meN kuchh alfaaz common haiN aur donoN are used interchangeably...Urdu men bhii bahot common hai jaise...janam lafz Urdu emn use hotaa hai...kunDli bhi aur hazaaroN alfaaz haiN.