Re: Urdu Vocabulary
**nahiiN nahiiN…naakHudaa ka matlab yahaN bhii boatman/sailor se hii hai aur is she’r meN IRONY kii taraf ishaara hai k jis shaKhs ko paas honaa chaahiye thaa beech manjhdhaar vo itnii door aafiyat ke maqaam pe khaRaa tamaasha dkh rahaa hai…
isii baat ko Ale Ahmad “Suroor” ne yuN kaha thaa:
ai mauj-e-balaa kuchh inko bhii, do chaar thapeRe halke se
kuchh log khaRe saahil pe toofaaN ka nazaara karte haiN**
Theek? makes sense?