Urdu poetry from across Pakistan

Re: Urdu poetry from across Pakistan

Amjad Islam Amjad (Punjabi/Lahore)

Zaroori nahi hay
zaroori nahi hay jo saahil ki geelee rait per
haaton main haath day ker
safar aut talatum kay kisay sunayeh
jazeeron, hawaaon aur undaikhey mausam
aur aankhon say ojjhal kinaron pay bikhray
huay manzeron, zaaiqon aur rangon ki batain keray
wo inn wardaton say guzrra bhi ho
ger kehay, aao hum inn peraishaan mojon ka peecha kerain
jo teray aur meray paoon ko choomti hain
talatum ki bay naam manzil say guzrain
yeh daikhain hawaayen kisay dhoondti hain
to chulnay say pehlay zaarra soch lena
zaroori nahi hay jo undekhay ruston ki khabrain sunayeh
woh inn ruston ka shanasa bhi ho
kaheen yeh na ho tum sumunder may uss ko dhoondo to woh
saahilon pay kharra muskeratta rehay.